Saturday, 20 April 2013

Sar K Bal Aaon Magar Aap Ishara To Karain


Poet Naseer-o-Din Naseer 

Sar K Bal Aaon Magar Aap Ishara To Karain,

Apni Mehfil Mein Kabhi Mujh Ko Gawara To Karain..*

Dam-e-Aakhir Hai Koi Kaam Humara To Karain..*

Aur Kia Karna Hai ALLAH Ko Pyara To Karain..*

Aik Tofaan Jo Utha Hai Wo Dab Jaye Ga..*

Dost Mere! Mere Dushman Se Kinara To Karain..*

Mujh Ko Tasleem Hai Betabi Dil Ka Shikwa..*

Aaine Mein Kabhi Aap Apna Nazara To Karain..*

Main Ne Aankhon Mein Kai Khawab Saja Rakhe Hain..*

Mere Ghar Aane Ka Rehmat Wo Gawara To Karain..*

Samne Sab K Zara Meri Taraf Sukhan..*

Log Jeeti Hoi Bazi Kabhi Haraa To Karain..*

Kon Kehta Hai K Main Urr K Na Puhnchon Ga..*

NASEER

Wo Bulain To Bulane Ka Ishara To Karain.................*

0 Responses to “Sar K Bal Aaon Magar Aap Ishara To Karain”

Post a Comment