Sunday, 21 April 2013

Ye Jo Sargashta Se Phirte Hain Kitabon Wale


 

Poet Ahmad Faraz

 

Ye Jo Sargashta Se Phirte Hain Kitabon Wale,

In Se Mat Mil K Inhain Rog Hain Khawabon Wale,

Ab Mah-o-Saal Ki Mohlat Nahi Milne Wali,

Aa Chuke Ab To Shab-o-Roz Azabon Wale,

Ab To Sab Dashna-o-Khanjar Ki Zaban Bolte Hain,

Ab Kahan Log Mohabbat K Nisabon Wale,

Jo Dilon Par Hi Kabhi Naqab Zani Karte Thay,

Ab Gharon Tak Chale Aaye Wo Naqabon Wale,

Zinda Rehne Ki Tamana Ho To Ho Jate Hain,

Fakhtaon K Bhi Qirdar Aqabon Wale,

Na Mere Zakham Khile Hain Na Tera Rang-e-Hina,

Ab K Mosam Hi Nahi Aaye Gulabon Wale,

Youn To Lagta Hai K Qismat Ka Sikander Hai, FARAZ

Magar Andaz Hain Sab Khana Kharabon Wale..............!

 

0 Responses to “Ye Jo Sargashta Se Phirte Hain Kitabon Wale”

Post a Comment