Thursday, 23 May 2013
Darwaza Jo Khola To Nazar Aaye Khare Wo
Poetess Parveen Shakir
Darwaza Jo Khola To Nazar Aaye Khare Wo,
Hairat Hai Mujhe Aaj Kidhar Bhool Pare Wo,
Bhoola Nahi Dil Hijar K Lamhat Karre Wo,
Ratain To Bari Thein Hi Magar Din Bhi Bare Wo,
Kion Jan Pe Ban Aai Hai Bigra Hai Agar Wo,
Us Ki To Ye Aadat K Hawaon Se Lare Wo,
Kion Jan Pe Ban Aai Hai Bigra Hai Agar Wo,
Us Ki To Ye Aadat K Hawaon Se Larre Wo,
Alfaz Thay Us K Keh Baharon K Payamat,
Khushbo Si Barasne Lagi Youn Phool Jhare Wo,
Har Shakhs Mujhe Tujh Se Juda Karne Ka Khawahan,
Sun Paye Agar Aik To Das Ja K Jarre Wo,
Bache Ki Tarha Chand Ko Choone Ki Tamana,
Dil Ko Koi Shaye De De To Kia Kia Na Arre Wo,
Toofaan Hai To Kia Gham Mujhe Awaz To Dejiye,
Kia BhooL Gaye Aap Mere Kache Gharre Wo.............!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Darwaza Jo Khola To Nazar Aaye Khare Wo”
Post a Comment