Thursday, 23 May 2013
Tera Ghar Aur Mera Jangal Bheegta Hai Sath Sath
Poetess Parveen Shakir
Tera Ghar Aur Mera Jangal Bheegta Hai Sath Sath,
Aisi Barsatain K Badal Bheegta Hai Sath Sath,
Bachne Ka Sath Hai Phir Aik Se Dono K Dukh,
Rat Ka Aur Mera Aanchal Bheegta Hai Sath Sath,
Wo Ajab Dunia K Sab Khanjar Bakaf Phirte Hain,
Aur Kanch K Pyalon Mein Sandal Bheegta Hai Sath Sath,
Barish Sang-E-Malamat Mein Bhi Wo Humrah Hai,
Main Bhi Bheegon Khud Bhi Pagal Bheegta Hai Sath Sath,
Larkion K Dukh Ajab Hote, Hain Sukh Us Se Ajeeb,
Hans Rahi Hain Aur Kajal Bheegta Hai Sath Sath,
Barshain Jare Ki Aur Tanha Bahut Mera Kisan,
Jism Aur Iklota Kambal Bheegta Hai Sath Sath.............!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Tera Ghar Aur Mera Jangal Bheegta Hai Sath Sath”
Post a Comment