Wednesday, 29 May 2013

Dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Naghma Gir Raha


 

 

Poet Muneer Niazi

Dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Naghma Gir Raha,

Jab Tak Raha Main Sath Mere Ye Hunar Raha,

Subh-E-Safar Ki Rat Thi Taare Thay Aur Hawa,

Saya Sa Aik Deir Talk Baam Par Raha,

Meri Sada Hawa Mein Bahut Door Tak Gai,

Par Main Bula Raha Tha Jise Bekhabar Raha,

Guzri Hai Kia Maze Se Khayalon Mein Zindagi,

Doori Ka Ye Talsam Bara Kaargar Raha,

Khof Aasman K Sath Tha Sar Pe Juka Howa,

Koi Hai Bhi Ya Nahi Hai Yehi Dil Dar Raha,

Us Aakhri Nazar Mein Ajab Dard Tha,

MUNEER

Jane Ka Us K Ranj Mujhe Umar Bhar Raha....................!


0 Responses to “Dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Naghma Gir Raha”

Post a Comment