Wednesday, 22 May 2013
Dil Mein Aur Chasm-e-Tar Mein Kia Kuch Tha
Poet Mohsin Naqvi
Dil Mein Aur Chasm-e-Tar Mein Kia Kuch Tha,
Tujh Se Pahle Nazar Mein Kia Kuch Tha,
Wo Jo Lut Kar Hove Shehr Badar,
Un Se Poocho K Ghar Mein Kia Kuch Tha,
Khair Guzri K Saj Gaye Maqtal,
Warna Saoda To Sar Mein Kia Kuch Tha?
Dhool Urne Lagi To . . . .Yad Aaya. . . .
Kal Tak Is Raguzar Mein Kia Kuch Tha?
Dekh Ab K Safar Mein Kuch Bhi Nahi!
Soch Agle Safar Mein Kia Kuch Tha,
Dhal Gai Dhoop Bujh Gia Soraj,
Saya-e-Baam-O-Dar Mein Kia Kuch Tha!
Pooch Apni Udas Aankhon Se!
Mere Dil K Khandar Mein Kia Kuch Tha,
Kuch To Bol Aye Satar-E-Aakhir!
Shab K Pichle Pehr Mein Kia Kuch Tha,
Jo Tere Kunj-e-Lab Se Phooti Thi,
Us Nasheeli Sehar Mein Kia Kuch Tha,
Tere Nazdeek Behunar Tehre,
Warna Apne Hunar Mein Kia Kuch Tha,
Too Ne Bheji Thi Badast-e-Sabaa,
Kia Kahein Us Khabar Mein Kia Kuch Tha,
Hum Ne Mangi Thi Jo Bawaqt-e-Wdaa!
Us Dua K Asar Mein Kia Kuch Tha,
Jab Tujhe Choo Lia To Kion Sochain,
Husan-e-Laal-o-Gohar Mein Kia Kuch Tha,
Ishrat-e-Abar Pe Na Ja Mohsin,
Hasrat-e-Kooza Gar Mein Kia Kuch Tha.................!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Dil Mein Aur Chasm-e-Tar Mein Kia Kuch Tha”
Post a Comment