Wednesday, 22 May 2013

Jab Se Ye Paigham Mila Hai, Janam Tum Aane Wali Ho


 

Poet Wasi Shah 

 

Jab Se Ye Paigham Mila Hai,

Janam Tum Aane Wali Ho

Mosam Ne,

Sare Ghar Ki Tarteeb Badal Kar Rakh Dali Hai,

Chokhat Par Ek Chand Bhi Aa Kar Baith Gia Hai,

Kai Sitare Longe Mein Kab Se Pare Howe Hain,

Kehte Hain K Is Raste Se Tum Guzro Gi,

Nahi Main Ne Gulabon Ka Kehna Hai,

Jitne Din Tum Pas Raho Ge,

Ghar K Har Kone Mein Aakar Wo Mehkain Gi,

Phoolon Ne Mil Kar Sab Kone Bant Liye Hain,

Jugno Kab Se Chatt Pe Ghar Ki,

Har Goshe Mein Chamak Rahe Hain,

Soraj Aur Barish Bhi Kal Se Saiban Par Tike Howe Hain,

Dheeme Dheeme Chehk Rahe Hain,

Sham To Kab Se Kai Tarah K Mosam Le Kar,

Is Kamre Mein Ruki Hoi Hai,

Jis Kamrey Mein Tum Thehro Gi,

Tum Aao Gi To Ye Sham Hazaron Mosam,

Sundar Sundar Saji Hoi Aankhon Ko De Kar Kho Jaye Gi,

Phir Na Kabhi Wapis Aaye Gi,

Is se Pehle K Ye Sham Bhi

Sare Mosam Le Kar,

Mujh Ko Khali Kar K Jo Jaye,

Tum Aa Jao Na Aabhi Jao........!

 

0 Responses to “Jab Se Ye Paigham Mila Hai, Janam Tum Aane Wali Ho ”

Post a Comment