Wednesday, 22 May 2013

Ab Wo Manzar Na Wo Chehre Hi Nazar Aate Hain


 

Poet: Ahmad Faraz

Type By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Ab Wo Manzar Na Wo Chehre Hi Nazar Aate Hain.

Mujh Ko Malum Na Tha Khawab Bhi Mar Jate Hain.

Jane Kais Haal Mein Ham Hain K Hamain Daikh K Sab.

Aik Pal K Liye Rukte Hain Guzar Jate Hain.

Saqia Too Ne To Mykhane Ka Ye Haal Kia.

Rind Ab Muhtasib-E-Shehr K Gun Gate Hain.

Tanaa Nasha Na Do Sab Ko K Koch Sokhta Jaan.

Shidat-E-Tashna Labi Se Bhi Behak Jate Hain.

Jaise Tajdeed-E-Taalok Ki Bhi Rut Ho Koi.

Zakham Bharte Hain To Gham-Khowaar Bhi Aa jate Hain.

Ehtiyaat Ehl-E-Muhabbat K Aysi Shehr Mein Loog.

Gul Badast Aate Hain Aur Pa-Ba-Rasn Jate Hain.....!

Book Pas Andaz-E-Mosam

Page 140 to 141

Ghazal 50

 

0 Responses to “Ab Wo Manzar Na Wo Chehre Hi Nazar Aate Hain”

Post a Comment