Wednesday, 22 May 2013
Daria Ki Hawa Teiz Thi Kashti Thi Purani
Poet Amjid Islam Amjid
Daria Ki Hawa Teiz Thi Kashti Thi Purani,
Roka To Bahut Dil Ne Magar Aik Na Mani,
Main Bheegti Aankhon Se Usay Kaise Hataon,
Mushkil Hai Bahut Abar Mein Deewar Uthani,
Nikla Tha Tujhe Dhoondne Ek Hijar Ka Tara,
Phir Us K Ta'aqub Mein Gai Sari Jawani,
Kehne Ko Nai Bat Koi Ho To Sunain,
So Bar Zamane Ne Suni Hai Ye Kahani,!
Ye Pul Hai Yahan Phool Kahan Pichle Baras K,
Hai Din To Wohi Dost, Magar Aur Hai Pani,
Kis Tarha Mujhe Hota Gumaan Tark-E-Wafa Ka,
Awaz Mein Tehrao Tha Lehje Mein Rawani,
Ab Main Usay Qatil Kahon AMJID K Maseeha,
Kia Zakham-E-Hunar Chor Gia Apni Nishani................!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Daria Ki Hawa Teiz Thi Kashti Thi Purani”
Post a Comment