Thursday, 23 May 2013
Sukhnori Hamain Kab Tajurbe Se Aai Hai
Poet Muzafar Warsi
Type By
*._Ayaz Khan_.*
Sukhnori Hamain Kab Tajurbe Se Aai Hai.
Zubaan Mein Chashni Dil Tottne Se Aai Hai.
Jidhar Se Mera Badan Dhoop Chat Kar Guzra.
Hawa-E-Sard Usi Raste Se Aai Hai.
Tarrpta Mein Hoon Pasina Us K Mathe Par.
Shikast-E-Dil Ki Sada Aaine Se Aai Hai.
Khulla Saboot Hai Dushmanon K Shabkhoon Ka.
K Dhool Thhere Howe Qafle Se Aai Hai.
Safar Mein Sath Mera Aur Koi Kia Deta.
Hawa Bhi Meri Taraf Samane Se Aai Hai.
Sahar Ne Mujh Ko MUZAFAR Nahi Kia Seeqal.
Meri Nazar Mein Chamak Ratjage Se Aai Hai......!
Book:
Baraf Ki Naoo
Page No 63
Ghazal No 31
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Sukhnori Hamain Kab Tajurbe Se Aai Hai”
Post a Comment