Wednesday, 29 May 2013
Wo Ada-e-Dilbari Ho K Nawa-E-Aashqana
Poet Jigar Muradabadi
Wo Ada-e-Dilbari Ho K Nawa-E-Aashqana,
Jo Dilon Ko Fatha Kar Le Wohi Fath-E-Zamana,
Kabhi Husn Ki Tabiat Na Badal Saka Zamana,
Wohi Naz-E-Beniazi Wohi Shan-E-Khusrowana,
Main Hon Is Maqam Par Ab K Firaq-O-Wasal Kaise,
Mera Ishq Bhi Kahani Tera Husn Bhi Fasana,
Meri Zindagi To Guzri Teri Hijar K Sahare,
Meri Mout Ko Bhi Pyare Koi Chahiye Bahana,
Tere Ishq Ki Karamat Ye Agar Nahi To Kia Hai,
Kabhi Beadab Na Guzra Mere Pas Se Zamana,
Teri Doori-O-Hazoori Ka Hai Ajeeb Aalam,
Abhi Zindagi Haqeeqat Abhi Zindagi Fasana,
Main Wo Saf Hi Na Keh Don Jo Hai Farq Mujh Mein Tujh Mein,
Tera Dard Dard-E-Tanha Mera Gham Gham-E-Zaman,
Tere Dil K Tootne Par Hai Kisi Ko Naz Kia Kia,
Tujhe Aye JIGAR Mubarik Ye Shikast-E-Fathhana.............!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Wo Ada-e-Dilbari Ho K Nawa-E-Aashqana”
Post a Comment