Friday, 31 May 2013

Yousaf Na Thay Magar Sar-E-Bazar Aa Gaye


 

Poet: Ahmad Faraz 

 

Yousaf Na Thay Magar Sar-E-Bazar Aa Gaye.

Khush Fhemian Ye Thien K Khareedaar Aa Gaye.

Hum Kaj Ada Chargh K Jab Bhi Hava Chali.

Taqon Ko Chor Kar Sar-E-Deewar Aa Gaye.

Phir is Tarah Hova Mujhe Maqtal Mein Chor Kar.

Sab Charah Saaz Janib-E-Darbar Aa Gaye.

Ab Dil Mein Hosla Na Sakat Bazoo'n Mein Hai.

Ab K Muqable Pe Mere Yar Aa Gaye.

Aawaz De K Zindagi Har Bar Chup Gai.

Hum Aise Sada Dil K Har Bar Aa Gaye.

Soraj Ki Roshni Pe Janhain Naaz Tha FARAZ.

Wo Bhai To Zair-E-Saya Deevar Aa Gaye......!

Bk: Pass  Andaaz Msam

page:102 to 103

Ghazal: 34 

 

0 Responses to “Yousaf Na Thay Magar Sar-E-Bazar Aa Gaye”

Post a Comment