Saturday, 8 June 2013

Aao Sajan Se Milwaon Bat Sawab Ki Lagti Hai


 

Poet Saghar Siddiuqi 

 

Aao Sajan Se Milwaon Bat Sawab Ki Lagti Hai,

Rang Gulabi Mehka Mehka Bat Gulab Ki Lagti Hai,

Chaal Saba Se Milti Julti Bat Sharab Ki Lagti Hai,

Dekhe Ziada BoLe Kam Kam Bat Hisab Ki Lagti Hai,

Hath Pe Rakha Hath Achanak,

Bat To Khawab Ki Lagti Hai,

Us Ka Aa Kar Zulf Ko Choona Bat Sarab Ki Lagti Hai,

Sargoshi Mein Kia Poocha Tha Bat Hijab Ki Lagti Hai,

Pal Mein Roothe Pal Mein Maane Bat Janab Ki Lagti Hai,

Us Ka Hijar Btao Kaisa Bat Azab Ki Lagti Hai,

Aadha Chanda Aadha Baadal Bat Naqab Ki Lagti Hai,

Thora Thora Sa Harjai Bat To Aap Ki Lagti Hai....................! 

 

0 Responses to “Aao Sajan Se Milwaon Bat Sawab Ki Lagti Hai”

Post a Comment