Wednesday, 5 June 2013
Mayar Girta Na Dosto Ka Na Hum Dushman Ki Dhaal Hote
Poet Shoaib Khan Swati
Mayar Girta Na Dosto Ka, Na Hum Dushman Ki Dhaal Hote,
Zaeef Dushman Pe Waar Karte To Waqt K Hum Daj Jaal Hote,
Nahi Tha Apna Mizaj Aisa K Zarf Kho Kar Aana Bachate,
Wagarna Aise Jawab Dete K Phir Na Paida Sawal Hote
Humari Fitrat Ko Janta Hai Tabhi To Dushman Ye Keh Raha Hai,
Hai Dushmani Mein Bhi zarf Aisa,
Jo Dost Hote To Kamal Hote,
Jo Aa K Tum Haal Pooch Lete,
To Itni Lambi Na Umar Lagti,
K Wasal Ki Ek Ghari Mein Sare Guzare Maah-O-Saal Hote,
Usay Mubarik Ho Maqam Oncha,
Sahi Haqeeqat Humain Pata Hai,
Banate Rishton Ki Hum Bhi Seerhi,
To Aasmaan Ki Misal Hote................!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Mayar Girta Na Dosto Ka Na Hum Dushman Ki Dhaal Hote”
Post a Comment