Thursday, 6 June 2013
Sara Shehr Balakta Hai Phir Bhi Kaisa Sakta Hai
Poet: Ahmad Faraz
Type By
*._Ayaz Khan_.*
Sara Shehr Balakta Hai.
Phir Bhi Kaisa Sakta Hai.
Har Koi Tasveer Numa.
Door Khala Mein Takta Hai.
Galion Mein Barood Ki Boo.
Ya Phir Khoon Mehekta Hai.
Sab K Bazo Yakh Basta.
Sab Ka Jisam Dehakta Hai.
Aik Safar Wo Hai Jis Mein.
Paon Nahi Dil Thakta Hai.
Tera Bichrna Jaan-E-Ghazal.
Shehr-E-Ghazal Ka Mqta Hai...........!
Book: Be Aawaaz Galli Koochon Mein
Page: 79
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Sara Shehr Balakta Hai Phir Bhi Kaisa Sakta Hai”
Post a Comment