Wednesday, 18 September 2013
Apne Seene Se Lagaye Howay Umeed Ki Laash
Poet Sahir Ludhianvi
Apne Seene Se Lagaye Howay Umeed Ki Laash,
Muddaton Zeest Ko Na Shad Kia Hai Main Ne,
Too Ne To Aik Hi Sadme Se Kia Tha Do Char,
Dil Ko Har Tarha Se Barbad Kia Hai Main Ne,
Jab Bhi Raahon Mein Nazar Aaye Hareeri Malboos,
Sard Aahon Mein Tujhe Yad Kia Hai Main Ne,
Aur Ab Jab K Meri Rooh Ki Pehnai Mein,
Aik Sunsan Si Maghmoom Ghata Chai Hai,
Too Damkte Howay Aarz Ki Shoain Le Kar,
Gul Shuda Shammein Jalane Ko Chali Aai Hai,
Meri Mehboob Ye Hangama Tajdeed-E-Wafa,
Meri Afsurda Jawani K Liye Raas Nahi,
Main Ne Jo Phool Chune Thay Tere Qadmo K Liye,
Un Ka Dhundla Sa Taswor Bhi Mere Pas Nahi,
Aik Yakh Basta Udasi Hai Dil-O-Jaan Pe Moheet,
Ab Meri Rooh Mein Baqi Hai Na Umeed Na Josh,
Rah Gia Dab K Giraan Bar Salasal K Tale,
Meri Dar Manda Jawani Ki Umangon Ka Kharosh,
Raig Zaaron Mein Bagolon K Siva Kuch Bhi Nahi,
Saya Abar-E-Garezaan Se Mujhe Lena,
Bujh Chuke Hain Mere Seene Mein Mohabbat K Kanwal,
Ab Tere Husn-E-Peshimaan Se Mujhe Kia Lena,
Tere Ariz Pe Ye Dhale Howay Samein Aanso,
Meri Afsurdagi Ka Madava To Nahi,
Teri Mehboob Nigahon Ka Payam-E-Tajdeed,
Ek Talafi Hi Sahi............
Meri Tamana To Nahi..............!
Page 37 To 38
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Apne Seene Se Lagaye Howay Umeed Ki Laash”
Post a Comment