Sunday, 15 September 2013

Fana Pazeer Dar-O-Baam Koo Bakoo Matti


 

Poet Mohsin Naqvi 

 

Fana Pazeer Dar-O-Baam Koo Bakoo Matti,

Bikhar Gai Meri Aankhon Mein Char Soo Matti,

Mere Safar Mein Na Hail Ho Aaye Badan K Hassar,

K Mein To Moj-E-Talatum Aur Too Matti,!

Farishtagi Isay Chunti Hai Apni Palkon Se,

Bashar K Khoon Se Hoi Kitni Surkhuroo Matti,

Jo Roondta Tha Isay Nafraton Ki Aahat Se,

Usi K Tan Pe Hai Malboos Aabro Matti,

Mili Na Jin Ki Jabeen Ko Paye Sajood Jaga,

Unhi K Pak Laho Se Hai Ba Wazo Matti,

Khila Bahar Ka Mosam To Hum Pe Bhaid Khila,

Hazar Shakal Badalti Hai Be Namoo Matti,

Jo Panio Ko Pehnte Thay Sipion K Liye,

Mili Unhain Bhi Teh-E-Moj-E-Aajoo Matti,

Meri Sada Hoi Mohsin Simat K Khak Basar,

Hoi Hai Jab Se Mera Halqa Galoo Matti.............! 

 

0 Responses to “Fana Pazeer Dar-O-Baam Koo Bakoo Matti”

Post a Comment