Sunday, 15 September 2013

Sans Ki Door Pe Chalti Aag Kab Tak Rooh Mein Dhalti Aag


 

Poet Mohsin Naqvi 

 

Sans Ki Door Pe Chalti Aag,

Kab Tak Rooh Mein Dhalti Aag,

Kitne Shehr Ujar Gai,

Raakh Badan Par Malti Aag,

Choo Leti Gar Us K Hont,

Barf K Sath Pigalti Aag,

Apnati Gar Husn Ka Roop,

Zulfon Ot Mehkti Rat,

Palkon Paar Machalti Aag,

Kash Wahan Par Hanste Log,

Kash Us Ghar Mein Jalti Aag,

Dariaon Ko Phank Chuki,!

Piyas Ki Goud Mein Palti Aag,

Aman Agar Behta Har Soo!

Kion Barood Ugalti Aag,

Aa Pohchi Hai Daar K Pas,

Ishq K Phool Masalti Aag,

Aik Hi Roz Tha Hashar Ka Roz,

Kash Us Roz Na Jalti Aag,

MOHSIN Dehr Ko Phoonk Chuki,

Apne Aap Shambhalti Aag................!

Book

Rakht-E-Shab 

 

0 Responses to “Sans Ki Door Pe Chalti Aag Kab Tak Rooh Mein Dhalti Aag”

Post a Comment