Saturday, 14 September 2013
Hazaron Khwaishain Aisi K Har Khawaish Pe Dam Nikle
Poet Mirza Ghalib
Type By
*._Ayaz Khan_.*
Hazaron Khwaishain
Aisi K Har Khawaish Pe Dam Nikle.
Bahut Nikle Mere Armaan Lekin Phir Bhi Kam Nikle.
Daray Kion Mera Qatil, Kia Rahe Ga Us Ki Gardan Par.
Wo Khoon, Jo Chasham Tar Se Umar Bhar Yoon Dam Ba Dam Nikle.
Nikalna Khuld Se Aadam Ka Sunte Aaye Hain Lekin.
Bahut Be Aabro Ho Kar Tere Kooche Se Hum Nikle.
Bharam Khol Jaye Zalim, Tere Qamat Ki Darazi Ka.
Agar Us Turah Pur Peech-O-Kham Ka Peech-O-Kham Nikle.
Magr Lekhwaye Koi Us Ko Khat To Hum Se Lekhwaye.
Hoi Subh Aur Ghar Se, Kaan Par Rakh Kar Qalam Nikle,
Hoi Us Door Mein Mansoob Mujh Se Bada Aashami.
Phir Aaya Wo Zamana Jo Jahaan Mein Jaam-E-Jam Nikle.
Hoi Jain Se Tawaqa Khastagi Ki Daad Pane Ki.
Wo Hum Se Bhi Zayada Khasta Teegh Sitam Nikle.
Muhabbat Mein Nahi Hai Farq Jeene Aur Marne Ka.
Usi Ko Dekh Kar Jeete Hain Jais Kafar Pe Dam Nikle.
Zara Kar Jorr Seene Par Ki Teer-E-Pursitam Nikle Jo.
Wo Nikle To Dil Nikle, Jo Dil Nikle To Dam Nikle.
Khuda K Waste Parda Na Kaabe Se Utha Zalim Kahen.
Aysa Na Ho Yahan Bhi Wohi Kafir Sanam Nikle.
Kahan May Khane Ka Darwaza GHALIB Aur Kahan Wa waaiz.
Par itna Jante Hain Kal Wo Jata Tha K Hum Nikle.....!
Book:
Diwan-e-Ghalib
Page: 158 to 159
Ghazal: 224
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Hazaron Khwaishain Aisi K Har Khawaish Pe Dam Nikle”
Post a Comment