Friday, 13 September 2013

Kaha Tha Na Meri Khamoshion Ko Tum Koi Mani Nahi Dena


 

 

Poet Rihana Qamar

Kaha Tha Na Meri Khamoshion Ko Tum Koi Mani Nahi Dena,

Judai Ki Sabhi Batein Meri Aankhon Mein Parh Lena,

Meri Is Muskarahat Mein

Agar Mehsoos Kar Pao,

To Mere Aansoo'n Ki Nami Tum Mehsoos Kar Lena,

Kahein Jo Reh Gai Hai Wo Kami Mehsoos Kar Lena,

Meri Sochein Mere Alfaz Ka Jab,

Roop Leti Hain Tumhara Aks Banta Hai,

Meri Neendon Mein Jab Rat Jagon K Deep Jalte Hain,

Tumhara Zikr Chalta Hai,

Tumhari Yad Mazi K Dareeche Khol Deti Hai,

Tumhari Shabnami Aahat Ye Mujh Se Bol Deti Hai,

Kaha Tha Na....!

Humare Darmian Ye Fasle Qismat Mein Likhe Hain,

Aur Is Qismat K Likhe Ko,

Badal Tum Bhi Nahi Sakte Badal Main Bhi Nahi Sakti,

Magar Mushkil Yehi Hai Hijar K Pur Paich Raston Par,

Sambhal Tum Bhi Nahi Sakte,

Sambhal Main Bhi Nahi Sakti,

To Behtar Hai K Hum Ek Doosre Ki Yad K,

Humrah Ho Jain K Ab K Is Mohabbat Se,

Nikal Tum Bhi Nahi Sakte

Nikal Main Bhi Nahi Sakti,

Suno Jana!

Tumhari Shabnami Aahat Mere Andar Dharakti Hai,

Magar Jab Khamoshi Se Tum Koi Mani Nahi Lete,

To Ye Dil Rooth Jata Hai

Mere Andar Kahein Kuch Toot Jata Hai...

 

 

0 Responses to “Kaha Tha Na Meri Khamoshion Ko Tum Koi Mani Nahi Dena”

Post a Comment