Thursday, 12 September 2013

Hazoor-E-Yar Mein Harf Iltaja K Rakhe Thay


 

Poet Amjid Islam Amjid 

 

Hazoor-E-Yar Mein Harf Iltaja K Rakhe Thay,

Charagh K Samne Jaise Hawa K Rakhe Thay,

Bas Aik Ashk-E-Nadamat Ne Saf Kar Dale,

Wo Sab Hisab Jo Hum Ne Utha K Rakhe Thay,

Samoom-E-Waqt Ne Lehje Ko Zakhm Zakhm Kia,

Wagrna Hum Ne Qareene Saba K Rakhe Thay,

Tumhi Ne Paon Na Rakha Wagarna Wasal Ki Shab,

Zameen Pe Hum Ne Satare Bicha K Rakhe Thay,

Bikhar Rahe Thay So Hum Ne Utha Liye Khud Hi,

Gulab Jo Teri Khatir Saja K Rakhe Thay,

Hawa K Pehle Hi Jhoonke Se Haar Maan Gaye,

Wohi Charagh Jo Hum Ne Bicha K Rakhe Thay,

Mita Saki Na Unhain Roz-O-Shab Ki Barish Bhi,

Dilon Pe Naqsh Jo Rang-E-Hina K Rakhe Thay,

Hasool-E-Manzal Dunia Kuch Aisa Kaam Na Tha,

Magar Jo Rah Mein Pathar Anaa K Rakhe Thay............!

Page 109 To 110 

 

0 Responses to “Hazoor-E-Yar Mein Harf Iltaja K Rakhe Thay”

Post a Comment