Tuesday, 17 September 2013
Khilwat-O-Jalwat Mein Tum Mujh Se Mili Ho Bar Ha
Poet Sahir Ludhianvi
Khilwat-O-Jalwat Mein Tum Mujh Se Mili Ho Bar Ha,
Tum Ne Kia Dekha Nahi Main Muskara Sakta Nahi,
Main K Mayoosi Meri Fitrat Mein Dakhil Ho Chuki,
Khabar Bhi Khud Par Karon To Kangna Sakta Nahi,
Mujh Mein Kia Dekha K Tum Ulfat Ka Dam Bharne Lagein,
Main To Khud Apne Bhi Koi Kaam Aa Sakta Nahi,
Rooh Afza Hain Janoon Ishq K Naghme Magar,
Ab Main In Ga'aye Howay Geeton Ko Ga Sakta Nahi,
Main Ne Dekha Hai Shikast-E-Saz Ulfat Ka Samaan,
Ab Kisi Tehreek Par Barbat Utha Sakta Nahi,
Dil Tumhari Shidat Ahsasaat Se Daman Chura Sakta Nahi,
Tum Meri Ho Kar Bhi Begana Hi Pao Gi Mujhe,
Main Tumhara Ho K Bhi Tum Mein Sama Sakta Nhi,
Ga'aye Hain Main Ne Khaloos-E-Dil Se Bhi Ulfat K Geet,
Ab Riya Kaari Se Bhi Chahon To Ga Sakta Nahi,
Kis Tarha Tum Ko Bana Lon Main Shareek-E-Zindagi,
Yaas Ki Tareekion Mein Doob Jane Do Mujhe,
Ab Main Shamma-E-Aarzo Ki Lo Barha Sakta Nahi..........!
Page 29 To 30
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Khilwat-O-Jalwat Mein Tum Mujh Se Mili Ho Bar Ha”
Post a Comment