Thursday, 19 September 2013
Main Ne Har Chand-E-Gham-E-Ishq Ko Khona Chaha
Poet Sahir Ludhianvi
Main Ne Har Chand-E-Gham-E-Ishq Ko Khona Chaha,
Gham-E-Ulfat Gham-E-Dunia Mein Samona Chaha,
Wohi Afsane Meri Simat Rawaan Hain Ab Tak,
Wohi Afsane Meri Simat Rawaan Hain Ab Tak,
Wohi Shole Mere Seene Mein Nahaan Hain Ab Tak,
Wohi Besood Khalish Hai Mere Seene Mein Hanooz,
Wohi Bekar Tamanain Jawaan Hain Ab Tak,
Wohi Gaisoo Meri Raton Pe Hain Bikhre Bikhre,
Wohi Aankhain Meri Janib Nigraan Hain Ab Tak,
Kasrat-E-Gham Bhi Mere Gham Ka Madava Na Hoi,!
Mere Bechain Khayalon Ko Sakoon Mil Na Saka,
Dil Ne Dunia K Har Ek Dard Ko Apna To Lia,
Muzamhal Rooh Ko Anar-E-Janoon Mil Na Saka,
Meri Takhiyal Ka Sheeraza-E-Barham Hai Wohi Hai,
Mere Bhujte Howe Ahsas Ka Aalam Hai Wohi Hai,
Wohi Be Jan Irade Wohi Berang Sawal,
Vohi Be Rooh Kasha Kash Wohi Bechain Khayal,
Aah Is Khashmakash-E-Subha-O-Masa Ka Anjan,
Main Bhi Na Kaam Meri Sahi Amal Bhi Nakam.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Main Ne Har Chand-E-Gham-E-Ishq Ko Khona Chaha”
Post a Comment