Thursday, 19 September 2013

Mere Sarkash Tarane Sun K Dunia Ye Samjhti Hai


 

Poet Sahir Ludhianvi 

 

Mere Sarkash Tarane Sun K Dunia Ye Samjhti Hai,

K Shayad Mere Dil Ko Ishq K Naghmon Se Nafrat Hai,

Mujhe Hangama-E-Jang-O-Jadal Mein Kaif Milta Hai,

Meri Fitrat Ko Khoon Rezi K Afsane Se Raghbat Hai,

Meri Dunia Mein Kuch Woqat Nahi Hai Raqs-O-Naghma Ki,

Mera Mahboob Naghma Shor-E-Aahang-E-Baghawat Hai,

Magar Aye Kash Dekhein Wo Meri Pursoz Raton Ko,

Main Jab Taron Pe Nazrein Gaar Kar Aanso Bahata Hon,

Tasawor Ban K Bhooli Wardatein Yad Aati Hain,

To Soz-O-Dard Ki Shidat Se Pehron Tilmalat Hon,

Koi Khawabon Mein Khawabeedo Umangon Ko Jagati Hai,

To Apni Zindagi Ko Mout K Pehlo Mein Pata Hon,

Main Shair Hon Mujhe Fitrat K Nazaron Se Ulfat Hai,

Mera Dil Dushman-E-Naghma Sarai Ho Nahi Sakta,

Mujhe Insaniat Ka Dard Bhi Bakhsha Hai Qudrat Ne,

Mera Maqsad Faqt Shola Nawai Ho Nahi Sakta,

Jawaan Hon Main Jawani Laghzashon Ka Aik Toofan Hai,

Meri Baton Mein Rang-E-Par Sai Ho Nahi Sakta,

Mere Sarkash Tarano Ki Haqeeqat Hai To Itni Hai,

K Jab Main Dekhta Hon Bhook K Mare Kisano Ko,

Ghareebon Muflason Ko Bekason Ko Besaharaon Ko,

Sisakti Naznaino Ko Tarapte Naojawano Ko,

Hakomat K Tashadad Ko Amrat K Takabur Ko,

Kisi K Cheetharon Aur Shehnshai Khazano Ko,

To Dil Taab-E-Nishat-E-Bazm-E-Ishrat La Nahi Sakta,

Main Chahon Bhi To Khawab Aawar Tarane Ga Nahi Sakta...............!

Page 45 To 46 

 

0 Responses to “Mere Sarkash Tarane Sun K Dunia Ye Samjhti Hai”

Post a Comment