Tuesday, 17 December 2013

Kabhi Ai Haqiqat-E-Muntazir Nazar A Libas-E-Majaz Mein


 

 

Kabhi Ai Haqiqat-E-Muntazir,

Nazar A Libas-E-Majaz Mein,

K Hazaron Sajde Tarap Rahe Hain,

Teri Jabeen-E-Niaz Mein Tarab Ashna-E-Kharosh Ho Tu Nawa Hai Mahram-E-Gosh Ho Wo Surur Kya K Chaya Hua Ho Sukut-E-Parda-O-Saz Mein

Tu Bacha Bacha K Na Rakh Ise Tera Aina Hai Wo Aina K Shikasta Ho To Aziz Tar Hai Nigah-E-Aina-Saz Mein

Dam-E-Tauf Kar Mak-E-Shamma Na Ye Kaha Ke Wo Asr-e-Kohan Na Teri Hikayat-E-Soz Mein Na Meri Hadis-E-Gudaz Mein

Na Kahin Jahan Mein Aman Mili Jo Aman Mili To Kahan Mili Mere Jurm-E-Khanakharab Ko Tere Azo-E-Banda-Nawaz Mein

Na Wo Ishq Mein Rahin Garmiyan Na Wo Husn Mein Rahin Shokhiyan Na Wo Gaznawi Mein Tarap Rahi Na Wo Kham Hai Zulf-E-Ayaz Mein

Jo Main Sar-Ba-Sajda Kabhi Hua To Zamin Se Ane Lagi Sada Tera Dil To Hai Sanam-Ashana Tujhe Kya Milega Namaz Mein..!

 

 

0 Responses to “Kabhi Ai Haqiqat-E-Muntazir Nazar A Libas-E-Majaz Mein”

Post a Comment