Tuesday, 17 December 2013
Kisi Khooni Qabeelay Ki Sippah Salaar Hai Laila
Poet Shehzad Qais
Kisi Khooni Qabeelay Ki Sippah Salaar Hai Laila
Kabhi Dashna, Kabhi Khanjar, Kabhi Talwaar Hai Laila
Badan Pay Woh Gazab Dhata Hai, Yeh Jazbaat Ki Qati
Siatm K Badshah Ki , Hashiya Bardaar Hai Laila
Yeh Kusht-e-Zaafrani Hai, Faqat Aaghaz-e-Ulfat Mein
Jo Dil De Do Tou Phir Din Raat Kusht-e-Zaar Hai Laila
Kabhi Iss Ne Wafa Ki Ho Tou Phir Insan Sochay Bhi
Rukh-e-Masoom Na Daikh, Akhri Ayyar Hai Laila
Tera Kirdaar He, Guftaar Ka, Haami Nahi Zulmi
Tu Lakh Iqrar-e-Ulfat Kar, Hame Inkaar Hai Laila
Teri Aankhon Ka Neela Pan, Yeh Tera Maatmi Joban
Jo Tujh Pay Mar Mtay Majnu, yeh Kia Kirdaar Hai Laila
Koi Hadya Ba-Masjid Tou, Koi Maikhanay Ko Bakhsha
Shikayat Par Kahe Qazi Se, Khud-Mukhtaar Hai Laila
Hui Khaiti Jawaan Dil Ki , Giranay Aagai Bijli
Chamak Pay Na Maro Sahib, chamakti Dhaar Hai Laila
Sitam Ki Malika, Zulmat-Gar, Kiraey Ki Koi Qatil
Bazor-e-Husan Qabza-Gar, Bohat Fankaar Hai Laila
Agar Tum Na Milee Tou Is Ghazal Ko "Theek" Se Parh Lo
Agar Ho Qais Ki Tou , Toba Astagfaar Hai Laila
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Kisi Khooni Qabeelay Ki Sippah Salaar Hai Laila”
Post a Comment