Friday, 24 January 2014

Bharakain meri pias ko aksar teri aankhen Sehra mera chehra samandar teri aankhen


 


Bharakain meri pias ko aksar teri aankhen

Sehra mera chehra samandar teri aankhen


Phir bhala kon unhen daad-e-tabassum de ga

Royen gi bahut mujh se bichar ker teri aankhen


Bojhal nazar aati hain bazahir mujhe laken

Khilti hain bahut dil mein utar ker teri aankhen


Ab tak meri yaadon se mitaye nahi mit-ta

Bheegi hoi ek shaam ka manzar teri aankhen


Mumkin ho tu ek taza ghazal aur bhi keh lon

Phir oorh na lein khawab ki chadar teri aankhen


Yoon dekhte rehna usey acha nahi Mohsin

wo kanch ka paikar hai tu pathat teri aankhen 

 

0 Responses to “Bharakain meri pias ko aksar teri aankhen Sehra mera chehra samandar teri aankhen”

Post a Comment