Wednesday, 22 January 2014
Kin Hathon Khule Shahid-E-Qudsi Ki Naqab Aah
Poet Khawaja Hafiz Sheeraz
Type bY
UJRRA_DIL
Kin Hathon Khule Shahid-E-Qudsi Ki Naqab Aah,
Deen Margh Behshti Wo Tujhy Dana-O-Aab Aah,
Is Fikar-E-Jigar-E-Soz Mein Aankhon Ki Urri Neend,
Aaghosh Bany Kis Ki Tairi Manzil-E-Khawab Aah,
Darwaish Ka Parsan Nahein Shayd Nahein Tujh Ko,
Andaisha-E-Bakhshaysh-O-Parwa-E-Sawab Aah,
Ushaq Ki Rehzni Huein Wo Chasham Khumari,
Zahir Hai Keh Hai Taiz Bohat Tairi Sharab Aah,
Ghamzy Ka Khata Hona Bhi Dil Par Hi Laga Teer,
Andaisha-E-Deegar Na Kary Raye-E-Sawab Aah,
Jo Nala-O-Faryad Kiya
Tujh Ko Na Pohncha,
Kis Darja Hai Ounchi Tairi
Ay Dost Janab Aah,
Kiya Qasar-E-Afroz Hai Manzil-Gaah-E-Jaana'n,
Us Ko Na Kar Aafat-E-Ayam Kharab Aah,
Hushyar Keh Hai Dashat Mein Koson Nahein Pani,
Dikhlaye Koi Ghol Bayaban Na Sarab Aah,
Ab Daikhiye Kaya Tor Hon Peeri Mein Tairy Dil,
Barbaad-O-Ghalt Sirf Huwa Dor-E-Shabab Aah,
HAFIZ Nahein Un Bandon Mein Aaqa Sy Jo Roothein,
Mann Ja Hai Bohat Shaq Taira Us Ko Ataab Aah......!
.
Book
Deewan-E-Hafiz
Page 65
Gzl Number 24
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Kin Hathon Khule Shahid-E-Qudsi Ki Naqab Aah”
Post a Comment