Saturday, 15 February 2014

Qasam Hai Yaad Haq-E-Qadeem-O-Ahad-E-Dursat


 

Poet

 Khawaja

Hafiz Sheeraz

Type bY

UJRRA_DIL

Qasam Hai Yaad Haq-E-Qadeem-O-Ahad-E-Dursat,

Dua-E-Khair Kiye Jany Mein Nahein Main Susat,

Bhula Dy Nooh ka Toofan Ye,

Aanswon Ki Jharri,

Na Kar Saky Gi Tairy Naqsh-E-Mehar Ko Shoshat,

Dil Shaksita Ki Kar Lijiye Khareedari,

Keh Toot Kar Bhi Hai Qeemat Hazar Muhar-E-Dursat,

Kharab Hal Ka Kaya Ta'Ana Peer-E-Ishq Ny Khud,

Hawaly Ki Thi Kharabat Hi To Roz-E-Nakhsat,

Na Dil Ko Yaas Ho Us Lutaf-E-By Nihayat Sy,

Py Shart-E-Ishq Hai,

Ho Sar Farosh Chabak-O-Chusat,

Baja Thi Mor Ny Aasif Sy Ki Jo Munh Zori,

Guma K Muhar-E-Sulaiman Raha Talash Mein Susat,

Main Tairy Ishq Mein Sheeda-E-Koh-O-Dashat Bana,

Too Mairy Paon Ki Rasi Ko Ab To Chhor Dy Susat,

Ho Sadq Kosh Keh Har Sans Aaftab Bany,

Darogh Ny To Kiya Ro-Siyaah Roz-E-Nakhsat,

Na Gul Rukhon Mein Wafa Dhond Sabr Kar HAFIZ,

Chaman Mein Ho Na Jo In Sa To Hai Baja-O-Dursat............!

.

Book Deewan-E-Hafiz

Page 71 72

Gzl Num 35 

 

0 Responses to “Qasam Hai Yaad Haq-E-Qadeem-O-Ahad-E-Dursat”

Post a Comment