Saturday, 15 February 2014
Chonch Mein Bulbul Liye Barg-E-Gul-E-Gulzar Thi
Poet
Khawaja Hafiz Sheeraz
Type bY
UJRRA_DIL
Chonch Mein Bulbul Liye Barg-E-Gul-E-Gulzar Thi,
Is Khushi Mein Naghma Zanba Nalha-E-Zaar Thi,
Ain-E-Visal Aur Nala ?
Hairat Ho Gai Aakhir Khula,
Husan-E-Janaan Ka Taqaza Tha Wo Khud Nachar Thi,
Heech Sub Ajz-O-Niyaz Apna, Hazoor-E-Husan-E-Dost,
Haye Wo Qismat Haseenon Sy Jo Bar-Khurdar Thi,
Aik Dam Aa Kar Na Baitha Paas Kaya Shikwa Karein,?
Padsha-E-Kamran Ko Godrriyon Sy Aar Thi,
Aao Us Naqash K Nok-E-Qalam Par Jaan Dein,
Ye Ajaib Rakhti Jis Ki Gardish-E-Parkar Thi,
Hai Mureed Raah-E-Ishq,
Aur Khof Badnami Kaya,?
Saja-E-San'Aan To Rehan-E-Khana-E-Khumaar Thi,
Us Pari K Zair-E-Qasr-E-Hoor HAFIZ Ki Har Aankh,
Aayat Janat-U-Tajri Tehtiha Al-Nahar Thi........!
.
Book Deewan-E-Hafiz
Page 73
Gzl Number 38
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Chonch Mein Bulbul Liye Barg-E-Gul-E-Gulzar Thi”
Post a Comment