Saturday, 8 March 2014
Ada Na Hum Se Howa Haq Teri Ghulami Ka
Poet Hasrat Mohani
Type bY
UJRRA_DIL
Ada Na Hum Se Howa Haq Teri Ghulami Ka,
Naseeb-E-Shoq Raha Dagh Na Tamami Ka,
Bichhi Hain Raah-E-Tamna Mein Saikrron Aankhein,
K Naaz Jalwa Kare Tairi Khush Khurami Ka,
Khule Na Hum Se Khamoshan-E-Aarzoo Ki Zaban,
Jo Itfaq Bhi Ho Un Se Hum Kalami Ka,
Huzoor Mujh Pe Na Zaiya Karein Ata Apni,
K Musthiq Hon Jafa Haye Iltzami Ka,
Ba Qadr-E-Shoq Kahan Taab-E-Iltmas Hamein ?
Likhein Jawab Jo Is Nama-E-Girami Ka,
Bahot Hai Maire Liye Joor-E-Gaah Gaah Ki Yaad,
Umeed War Nahein Altfat-E-Sami Ka,
Nihan Na Ho Karam-E-Yaar Mein Sitam HASRAT,
Bahot Na Kijiye Izhar Shad Kami Ka........!
Bk Kuliat-E-Hasrat
Page 75
Gzl 22
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Ada Na Hum Se Howa Haq Teri Ghulami Ka”
Post a Comment