Saturday, 8 March 2014
Hajoom-E-Aarzoo Ki Keh Raha Hai Dastan Sehra
Poet Hasrat Mohani
Type bY
UJRRA_DIL
Hajoom-E-Aarzoo Ki Keh Raha Hai Dastan Sehra,
Mgar Noshah K Dil Ka Bana Hai Tarjuman Sehra,
Sar Har Taar Se Rangeeniyan Jalwe Ki Paida Hain,
Chhupaye Ga Kahan Tak ?
Husan-E-Roo-E-Mehwshan Sehra,
Hawa Se Hilti Hain Larriyan K Qurab-E-Roo-E-Roshan Se,
Wafoor-E-Shoq Mein Karne Laga Be Tabiyan Sehra,
Rukh Nosha Agar Ik Gulstan-E-Husan-O-Khoobi Hai,
To Is Gulshan K Haq Mein Hai Bahar-E-Bostan Sehra,
Numayan Ho Gaya Kuch Aur HASRAT Husan-E-Yaar Is Se,
Nigah-E-Shoq Se Nahaq Hua Tha Bad-Guman Sehra......!
Book Kuliat-E-Hasrat
Page 75
Gzl 21
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Hajoom-E-Aarzoo Ki Keh Raha Hai Dastan Sehra”
Post a Comment