Friday, 23 May 2014
Batao Kaisa Haseen Khat Ka Jawab Aaya
Poet Adeem Hashmi
Batao Kaisa Haseen Khat Ka Jawab Aaya,
Kaha Lafafe Mein Un Labon Ka Gulab Aaya,
Bata Hawa Hai Phir Aanchlon Ka Rawaj Kab Se,
Kaha Wo Mehfil Mein Jab Se Orhe Naqab Aaya,
Bata Wo Aa Kar Chala Gia Too Ne Kion Na Roka,
Kaha Wo Aaya To Youn Laga Jaise Khawab Aaya,
Bata Wo Aaya Jo Phool Le Kar To Kia Laga Hai,
Kaha K Jaise Gulab Le Kar Gulab Aaya,
Bata Shafaq Kis Ko Dekh Kar Surkh Ho Rahi Hai,
Kaha Uffaq Ki Mandeer Par Aftab Aaya,
Bata QaYamat Misal Aamad ADEEM Us Ki,
Kaha K Dunia Mein Jaise Youm-E-Hisab Aaya..............!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Batao Kaisa Haseen Khat Ka Jawab Aaya”
Post a Comment