Sunday, 18 May 2014

Har Taraf Saghir Bakaf Hain May Gusaaran-E-Bahar


 

Poet Bedam Shah Warsi

Type By

*.__Ayaz Khan__.*

 

Har Taraf Saghir Bakaf Hain May Gusaaran-E-Bahaar.

ALLAH ALLAH Aaj To Hai Aam Fizaan-E-Bahaar.

Chandni Mein Sone Walon Ko Jagne K Liye.

La Naseem-E-Subh La Boo-E-Gulistan-E-Bahaar.

Chand Roza Deed-E-Gul Par Shaad Hai Kia Andleeb.

Aik Din Dast-E-Khizaan Lote Ga Saman Bahaar.

Ghaza Rukhsar-E-Gul Khakstar-E-Bulbu Hoi.

Aur Bana Rang-E-Chaman Khon-E-Saheedan-E-Bahaar.

Sara Aalam Mast Hai Saqi Ki Chasham-E-Mast Se.

Aik BEDAM Hi Raha Nakaam Duraan-E-Bahaar......!


Book:

Mashaf e Bedam

Page: 155

 

0 Responses to “Har Taraf Saghir Bakaf Hain May Gusaaran-E-Bahar”

Post a Comment