Monday, 4 August 2014
Han Ek Roz Koi To Soche Ga K Is Basti Mein Ek Shakhs Tha Pagal Pagal Sa
Poet Ibn-E-Insha
Han Ek Roz Koi To Soche Ga K Is Basti Mein
Ek Shakhs Tha Pagal Pagal Sa
Par Baat Theek Hi Kehta Tha,
Baarish Ki Tarha Pur Shor Na Tha,
Daria Ki Tarha Chup Rehta Tha,
Jin Se Usay Pyar Bahut Tha,
Tane Bhi Unhi K Sehta Tha,
Ek Shakhs Tha Pagal Pagal Sa,
Par Bat Theek Hi Kehta Tha,
Ek Roz Koi To Soche Ga,
Dunia Ne Usay Kuch Bhi Na Dia,
Par Us Ne Jag Ko Pyar Dia,
Jan Rote Rote Kho Betha,
Dil Hanste Hanste Haar Dia,
Jo Nazam Likhi Bharpoor Likhi,
Jo Sheir Dia Shahkar Dia,
Kion Jeete Jee Darguor Howa,
Kis Chah Pe Tan Man War Dia,
Tha Dushman Kon Bechare Ka,
Kis Ranj Ne Usay Maar Dia,
Ek Roz Koi To Soche Ga,
Aur Pehron Beth Kar Roye Ga,
K Ek Shakhs Tha Pagal Pagal Sa,
Par Baat Theek Hi Kehta Tha,
Wo Shakhs Tha Pagal Pagal Sa..............!
Book Pachtawa
Page 72
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “ Han Ek Roz Koi To Soche Ga K Is Basti Mein Ek Shakhs Tha Pagal Pagal Sa”
Post a Comment