Friday, 5 September 2014
Aankhon Mein Thakan Dhanak Badan Par
Poetess Parveen Shakir
Aankhon Mein Thakan Dhanak Badan Par,
Jaise Shab-E-Awaleen Dulhan Par,
Dastak Hai Hawa-E-Shab Ki Tan Par,
Khulta Hai Naya Dareecha Fan Par,
Rangon Ki Jameel Barshon Mein,
Utri Hai Bahar Phool Ban Par,
Thame Howay Hath Roshni Ka,
Rakh Aai Qadam Zameen Gagan Par,
Guzra Tha Koi Shareer Jhonka,
Salute Hai Qaba-E-Yasmeen Par,
Shabnam K Labon Pe Nachti Hai,
Chaya Hai Ajab Nasha Kiran Par,
Khulti Nahi Barg-O-Gul Ki Aankhain,
Jadoo Koi Kar Gia Chaman Par,
Khamoshi Kalaam Kar Rahi Hai,
Jazbat Ki Mohr Hai Sukhan Par.................!
Page 37,38
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Aankhon Mein Thakan Dhanak Badan Par”
Post a Comment