Friday, 5 September 2014

Chand Ka Paigham Dhundla Tha Na Chehra Harf Ka


 

 

Poetess Parveen Shakir 

 

Chand Ka Paigham Dhundla Tha Na Chehra Harf Ka,

Shehr K Sare Dareechon Par Hai Parda Barf Ka,

Ye Hawa Ki Sard Mehri Thi K Mere Dil Ka Khof,

Jam Gia Hai Hont Par Aa Kar Tanafus Harf Ka,

Dekh Kar Qatil K Bache Darguzar Karta Qassas,

Kon Tha Maqtool Pyaron Mein Itne Zarf Ka,

Aik Wo Mosam K Mujh Par Muskarahat Jabar Thi,

Aur Ab Moqa Nahi Milta Hansi K Saraf Ka,

Hath Bhi Jhaluse Badan Bhi Be Amaan Ho Kar Raha,

Chor Kar Matti Banaya Jab Gharonda Barf Ka................!

Page 45 

 

0 Responses to “Chand Ka Paigham Dhundla Tha Na Chehra Harf Ka”

Post a Comment