Friday, 5 September 2014

Qadmo Mein Thakan Thi Ghar Bhi Qareeb Tha


 

 4000th post 

Poetess Parveen Shakir 

 

Qadmo Mein Thakan Thi Ghar Bhi Qareeb Tha,

Par Kia Karein K Ab K Safar Hi Ajeeb Tha,

Nikle Agar To Chand Dareeche Mein Ruk Bhi Jaye,

Is Shehr-E-Be Chargh Mein Kis Ka Naseeb Tha,

Aandhi Ne Un Rutton Ko Bhi Be Taaj Kar Dia,

Jin Ka Kabhi Huma Sa Parinda Naseeb Tha,

Kuch Apne Aap Se Hi Usay Kashmakash Na Thi,

Mujh Mein Koi Shakhs Usi Ka RaqEEb Tha,

Pocha Kisi Ne Mool To Hairan Reh Gia,

Apni Nigah Mein Koi Kitna Ghareeb Tha,

Maqtal Se Aane Wali Hawa Ko Bhi Kab Mila,

Aisa Koi Dareecha K Jo Be Suleeb Tha..................!

Page 213 214 

 

0 Responses to “Qadmo Mein Thakan Thi Ghar Bhi Qareeb Tha”

Post a Comment