Tuesday, 9 September 2014
Waqat-E-Peeri Shabab Ki Baten Aisi Hain Jaise Khawab Ki Baten
Poet Sheikh Ibrahim Zauq
Type By
*Ayaz_Khan*
Waqat-E-Peeri Shabab Ki Baten,
Aisi Hain Jaise Khawab Ki Baten,
Phir Mujhe Le Chala Idhar Dekho,
Dil-E-Khana Kharab Ki Baten,
Waaza Choro Zikar-E-Naimat-E-Khlid,
Kar Sharab-O-Kabab Ki Baten,
Harf Aaya Jo Aabro Pe Meri,
Hain Chasham-E-Pur Aab Ki Baten,
Mahjabeen Yad Hain K Bhool Gaye,
Wo Shab-E-Mehtab Ki Baten,
Tujh Ko Ruswa Karin Gi Khoob Aye Dil,
Teri Ye Iztarab Ki Baten,
Jo Hota Hai Aur Bhi Kafqaan,
Sun K Naseho Janab Ki Baten,
Jaam-E-Maye Lab Se To Laga Apne,
Chor Sharam-O-Hijab Ki Baten,
Sunte Hain is Ko Chirr Chirr K Hum,
Kis Maze Se Atab Ki Baten,
Dekh Aye Dil Na Chirr Qisa Zulf,
K Ye Hain Peech-O-Taab Ki Baten,
Zikar Kia Josh-E-ishq Mein Aye ZAUQ,
Hum Se Hon Sabar-O-Taab Ki Baten...!
Book: Diwan e Zauq
Page: 94
Mazeed Poetry K Liye,
Follow khan61 send 8001
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Waqat-E-Peeri Shabab Ki Baten Aisi Hain Jaise Khawab Ki Baten”
Post a Comment