Monday, 14 September 2015
Sarakti Jaaye Hai Rukh Se Naqaab Aahista Aahista Nikalta Aa Raha Hai Aaftaab Aahista Aahista
Poet:Ameer Minai
Type By
*.__NOMI__.*
Sarakti Jaaye Hai Rukh Se Naqaab Aahista Aahista
Nikalta Aa Raha Hai Aaftaab Aahista Aahista
Jawaan Hone Lage Jab Wo To Hum Se Kar Liya Parda
Hayaa Yak-Lakht Aai Aur Shabaab Aahista Aahista
Shab-E-Furqat Ka Jaaga Hoon Farishto Ab To Sone Do
Kahein Fursat Main Kar Lena Hisaab Aahista Aahista
Sawaal-E-Wasl Par Un Ko Udoo Ka Khauf Hai Itna
Dabe Hoonton Se Dete Hain Jawaab Aahista Aahista
Wo Bedardi Se Sar Kaatein "Ameer" Aur Main Kahon Un Se
Huzoor Aahista Aahista, Janaab Aahista Aahista...........!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Sarakti Jaaye Hai Rukh Se Naqaab Aahista Aahista Nikalta Aa Raha Hai Aaftaab Aahista Aahista”
Post a Comment