Monday, 7 September 2015
sunaa karo meri jaan in se un se afasaane sab ajnabi hain yahaan kaon kis ko pahchaane
Poet:Kaifi Azmi
sunaa karo meri jaan in se un se afasaane
sab ajnabi hain yahaan kaon kis ko pahchaane
yahaan se jald guzar jaao qaafle waalo
hain meri pyaas ke phooke hoe ye veeraane
meri junoon-e-parastish se tang aa gaye log
suna hai band kiye jaa rahe hain butt-khaane
jahan se pichhle pahar koi tashna-kaam utha
wahin pe tor're hain yaaron ne aaj paimaane
bahaar aaye to mera salaam keh dena
mujhe to aaj talab kar liya hai sehraa ne
sewa hai huqm ki "Kaifi" ko sang-saar karo
maseeha baithe hain chhup ke kahan khuda jaane
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

0 Responses to “sunaa karo meri jaan in se un se afasaane sab ajnabi hain yahaan kaon kis ko pahchaane”
Post a Comment