Tuesday, 10 November 2015
Aaj Maykhane Mein Niyat Meri Bhar Jaane De, Bada-E-Naab Ke SAQI Mujhe Paimaane De,
Poet:Naseer-Od-Deen Naseer
Type By
*._Murtaza._.*
Aaj Maykhane Mein Niyat Meri Bhar Jaane De,
Bada-E-Naab Ke SAQI Mujhe Paimaane De,
Kis Ko Maa'lom Ke Kal Kon Rahe Ga Zinda,
Aaj Rindoon Ko Zara Pee Ke Behak Jaane De,
Daikh Ay Dil! Ke Na Aanch Aaye Wafa Par Koi,
Jo Bhi Aati Hai Museebat Mere Sar Aane De,
Tujh Se Bhi Dast-O-Girebaan Kabhi Hoga Wa'aiz!
Wehshi-E-ISHQ Ko Rang Aur Zara Laane De,
Ay Mere Dast-E-Junoon Barrh Ke Ulat De Pardah,
Hussan Sharmane Pe Maa'il Hai To Sharmane De,
Aik Do Jaam Se Kia Piyaas Bujhegi SAQI!
May Pilaata Hai To Aise Kayi Paimaane De,
ISHQ HAI ISHQ, Naseer Un Se Shikayat Kaise,
Wo Jo Tarrpane Pe Aamadah Hain,Tarrpane De.....!
Book Name
Dast-E-Nazar
Page 215
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Aaj Maykhane Mein Niyat Meri Bhar Jaane De, Bada-E-Naab Ke SAQI Mujhe Paimaane De,”
Post a Comment