Friday, 20 November 2015

Ab To Is Tarah Meri Aankhon Mein Khawab Aate Hain. Jis Tarah Aaine Chehron Ko Taras Jate Hain.


Poet Ahmad Faraz

Type By

*.__Ayaz Khan__.*

Ab To Is Tarah Meri Aankhon Mein Khawab Aate Hain.

Jis Tarah Aaine Chehron Ko Taras Jate Hain.

Ehtiyat Ehl-E-Muhabbat K Isi Shehr Mein Log.

Gul Badast Aate Hain Paba Rasan Jate Hain.

Jaise Tajdeed-E-Taluq Ki Bhi Rut Ho Koi.

Zakham Bharte Hain To Ehbaab Bhi Aa Jate Hain.

Saqia Too Ne Mekhane Ka Ye Haal Kia.

Badah-Kash Mutasib-E-Shehr K Gun Gate Hain.

Tanaa Nasha Na Do Sub Ko K Kuch Sukhta Jaan.

Shidat-E-Tishna-Labi Se Bhi Behak Jate Hain.

Har Kari Raat K Bad Aisi Qayamat Guzri.

Subh Ka Zikar Bhi Aaye To Larz Jate Hain.........!

Book:
Nabina Shehr Mein Aaina


0 Responses to “ Ab To Is Tarah Meri Aankhon Mein Khawab Aate Hain. Jis Tarah Aaine Chehron Ko Taras Jate Hain. ”

Post a Comment