Tuesday, 17 November 2015

Ab To Is Tarah Meri Aankhon Mein Khawab Aate Hain. Jis Tarah Aaine Chehron Ko Tarss Jate Hain.


Poet Ahmad Faraz

Type By

*.__Ayaz Khan__.*

Ab To Is Tarah Meri Aankhon Mein Khawab Aate Hain.

Jis Tarah Aaine Chehron Ko Tarss Jate Hain.

Ehtiyat Ehl-E-Mohabbat Ke Isi Shehr Mein Log.

Gul Badast Aate Hain Paba Rasan Jate Hain.

Jaise Tajdeed-E-Taloq Ki Bhi Rut Ho Koi.

Zakham Bharte Hain To Ehbab Bhi Aa Jate Hain.

Saqia Too Ne Mekhane Ka Ye Haal Kia.

Bada Kash Mutasib-E-Shehr K Gun Gate Hain.

Tana-E-Nasha Na Do Sub Ko Ke Kuch Sukhta Jaan.

Shidat-E-Tishna-Labi Se Bhi Behaik Jate Hain.

Har Karri Raat Ke Bad Aisi Qayamat Guzri.

Subh Ka Zikar Bhi Aaye To Larz Jate Hain.........!

Book,
Nabina Shehr Mein Aaina

Page, 16


0 Responses to “ Ab To Is Tarah Meri Aankhon Mein Khawab Aate Hain. Jis Tarah Aaine Chehron Ko Tarss Jate Hain. ”

Post a Comment