Thursday, 19 November 2015
Dushman Hai Aur Sath Rahe Jaan Ki Tarah, Mujh Mein Utr Gaya Hai Wo Sarttaan Ki Tarah
Poetess Parveen Shakir
Type By
Uroosa Emaan
Dushman Hai Aur Sath Rahe Jaan Ki Tarah,
Mujh Mein Utr Gaya Hai Wo Sarttaan Ki Tarah,
Jakrre Huye Hai Tan Ko Mere,
Us Ki Aarzoo,
Phela Huwa Hai Jaal Sa Shariyaan Ki Tarah,
Deewaar-O-Dar Ne Jis K Liye Hijar Kate The,
Aaya Tha Chandd Roz Ko,
Mehmaan Ki Tarau,
Dukh Ki Rutoon Mein Perr Ne Tanha Safar Kiya,
Patoon Ko Pahle Bhej K Samaan Ki Tarah,
Gahre Khank Andhere Mein Ujle Taklufaat,
Ghar Ki Faza Bhi Ho Gai Sheezaan Ki Tarah,
Dooba Huwa Hai Hussan-E-Sukhan Mein Sakoot-E-Shab,
Taar-E-Rabaab-E-Rooh Mein Kalyaan Ki Tarah,
Aahang K Jamal Mein Injeel Ki DUA,
Narmi Mein Apni,
Soorah-E-RAHMAAN Ki Tarah.............!
.
Book
Khushboo
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “ Dushman Hai Aur Sath Rahe Jaan Ki Tarah, Mujh Mein Utr Gaya Hai Wo Sarttaan Ki Tarah”
Post a Comment