Saturday, 21 November 2015

INSHA JEE Kaya Baat Bane Gi.....* Hum Logon Se Door Howe. Hum Kaise Dil Ka Roog Bane. Kaise Seene Ka Nasoor Howe


Poet: INSHA JEE

INSHA JEE KIA BAAT
BANE GI

Type By

*._Ayaz Khan_.*

INSHA JEE Kaya Baat Bane Gi.....*

Hum Logon Se Door Howe.....*

Hum Kaise Dil Ka Roog Bane....*

Kaise Seene Ka Nasoor Howe.....*

Basti Basti Aag Lagi Thi....*

Chalne Pe Majboor Howe....*

Rindoon Mein Koch Baat Chali Thi....*

Seeshay Chakna Choor Howe....*

Laikin Tum Ne Kion Bethe Bethe....*

Aah Bhari Ranjoor Howe....*

Ab To Aik Zamana Guzra INSHA JEE.*

Tum Se Koi Qasour Howe.*

Aye Loogo Kion Bhouli Batain....*

Yaad Karo Kaya Yaad Dailao....*

Qafle Wale Door Gaye....*

Bujhne Do Agr Bujhta Hai Alaao....*

Aik Mujh Se Ruk Sakta Hai....*

Toofaani Daria Ka Bhaoo....*

Samay Samay Ka Raagh Alagh Hai....*

Samay Samay Ka Apna Bhaoo.....*

Aass Ki Ujrri Phulwari Mein.....*

Yaadon K Gunche Na Khelaoo.....*

Pechlay Pehar Ki Andhiyari Mein....*

Kafoori Samaain Na Jalaoo....*

INSHA JEE Wohi Subh Ki Lali....*

INSHA JEE Wohi Shab Ka Saman....*

Tumhi Khayaal Ki Jigar Magr Mein....*

Bhatak Rahe Ho Jahan Tehaan....*

Wohi Chaman Wohi Gul Boote Hain....*

Wohi Baharain Wohi Khizaan....*

Aik Qadam Ki Baat Hai Yun To....*

Aik Qadam Ki Baat Hai Yun To..*

Rophele Khawabon Ka Jahaan..*

Laikin Door Ufaq Par Daikho..*

Lehrata Ghong-Gohor Dhovaan..*

Badal Badal Umad Raha Hai..*

Sahaj Sahaj Pechan Pechan..*

Manzil Door Daikhe To Rahi..*

Rah Mein Beth Rahe Sastaye..*

Hum Bhi Tees Baras K Manday..*

Yunhi Roop Nagar Ho Aaye..*

Roop Nagar Ki Raaj Kumari..*

Sapnoon Mein Aaye Behlaye..*

Qadam Qadam Par Mudmati Muskan..*

Bakhaire Hath Na Aaye..*

Chandarma Maharaj Ki Jeevti..*

Taray Hain Aapas Mein Chupaye..*

Hum Bhi Ghoom Rahe Hain Le Kar..*

Kasa Ang Bhabhoot Ramaye..*

Jangal Jangal Ghom Rahe Hain..*

Ramte Jogi Seess Navaye.

Hum Wo Loog Hain Ginte Thay Tum..*

Kal Tak Jin Ko Piyaron Mein..*

Haal Humara Sunte Thay To..*

To Laute Thay Angaron Mein..*

Aaj Bhi Kitne Naagh Chope Hain..*

Dushaman K Bambaron Mein..*

Aate Hain Neepam Ugte..*

Wehshi Sabzaron Mein..*

Aah Si Bhar K Rah Jate Ho..*

Beth K Duniadaron Mein..*

Haal Humara Chapta Hain.*

Jab Khabron Mein Akhbaron Mein.*

Auron Ki To Batain Chorro.*

Aur To Jane Kia Kia Thay.*

Rustam Se Kuch Aur Dalawar.*

Bheem Se Barrh Kar Jodha Thay.*

Laikin Hum Bhi Tond Bharti Mujon Ka.*

Eik Dhaara Thay.*

Aniaye K Sukhe Jangal Ko*

Jhulasti Juvala Thay.*

Na Hum Atne Chop Chop Thay Tab.*

Na Hum Atne Tanha Thay*

Apni Zaat Mein Raja Thay Hum.*

Apni Zaat Mein Sehna Thay.*

Tufano Ka Rela Thay.*

Balvano Ki Sasna Thay.*

THE END

Book: Dil e Weshi


0 Responses to “ INSHA JEE Kaya Baat Bane Gi.....* Hum Logon Se Door Howe. Hum Kaise Dil Ka Roog Bane. Kaise Seene Ka Nasoor Howe”

Post a Comment