Saturday, 14 November 2015

Jalti Shamaein Roshan Cheharay, Kamni Larriyan, Nazuk Seharay, Nargis Baila Muatiya Lala, Johi Champa, Aur Banafsa


SAALGIRAAH

Poet Khalil Ullah Farouqi

Type By
*_FAROOQI.54_*

Jalti Shamaein Roshan Cheharay,

Kamni Larriyan,
Nazuk Seharay,

Nargis Baila Muatiya Lala,

Johi Champa,
Aur Banafsa,

Har Koi Yahan Shad Hay Naa,

Aaj Tumhari Saalgirah Hay,

Daikho Hum Ko Yaad Hay Naa,

Hum To Sirf Duagoo Log,

Khak-O-Mehar Ka Kaya Sanjog,

Pas Rahein Ya Door Rahein,

Wehshat Say Ranjoor Rahein,

Mehfil To Aabad Hay Naa,

Aaj Tumhari Saalgirah Hay,

Tarak-E-Taluq Khoob Kia,

Dil Par Kari Waar Saha,

Noch Di Konpal Chahat Ki,

Aas Na Rakhi Rahat Ki,

Dil Mahou-E-Faryad Hay Naa,

Aaj Tumhari Saalgirah Hay,

Kaisay Kaisay Khawab Bunay,

Rang-Ba-Rangay Phool Chunay,

Saalgirah Ka Cake Kattay Ga,

Un K Hath Pay Hath Rahay Ga,

Khawab Har Ik Barbaad Hay Naa,

Aaj Tumhari Saalgirah Hay Naa,

Daikho Hum Ko Yaad Hay Naa...................!


0 Responses to “ Jalti Shamaein Roshan Cheharay, Kamni Larriyan, Nazuk Seharay, Nargis Baila Muatiya Lala, Johi Champa, Aur Banafsa”

Post a Comment