Monday, 16 November 2015
Jisam Damkta Zulaf Ghaneri Rangeen Lab Aankhein Jaadoo
Poet Javed Akhtar
Type By
Uroosa Emaan
Jisam Damkta
Zulaf Ghaneri
Rangeen Lab
Aankhein Jaadoo,
Sang Mar Mar Owda Baadal
Surakh Shafaq
Heraan Aahoo,
Bhakshoo Dani
Pyasa Pani
Darya Sagar
Jal Gaagar,
Gulshan Khushboo
Koyel Koo Koo
Masti Daroo
Main Aur Too,
Baanbi Naangan
Chhaya Aangan
Ghunghroo Chhan Chhan
Aasha Mann,
Aankhein Kajal
Parbat Baadal
Wo Zulafein
Aur Ye Baazoo,
Raatein Mehaki
Saansein Dehaki
Nazrein Behaki
Rut Lahki,
Sapn Sulona
Praim Khilona
Phool Bichhona,
Wo Pehaloo,
Tum Se Doori
Ye Majboori
Zakham Hai Kaari Bedaari,
Tanha Raatein Sapne Kaatein
Khud Se Baatein
Meri Khoo.........!
.
Book
Sahir Ludhyanvi Se Basheer Badar Tak
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “Jisam Damkta Zulaf Ghaneri Rangeen Lab Aankhein Jaadoo”
Post a Comment