Friday, 13 November 2015
Khof Ki Shab Mein Hont Seene Se, Marna Behtar Hai Aisay Jeene Se,
Poetess Noshi Gilani
Typed By
Uroosa Emaan
Khof Ki Shab Mein Hont Seene Se,
Marna Behtar Hai Aisay Jeene Se,
Kuch To Qaaim Rahe Ana Ka Bharam,
Dekhna Hai Usay Qareene Se,
Youn Tamasha To Us Ko Hona Tha,
Jo Giri Aarzoo K Zeene Se,
Kuch Hawaaoun Ka Aetbbar Nahi,
Warna Kia Khof Us Safeene Se,
Dil Ka Ab Talkhiyon Se Nata Hah,
Lutf Leta Hai Zehar Peene Se........!
.
Book
Mohabbatein Jab Shumar Karna
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “ Khof Ki Shab Mein Hont Seene Se, Marna Behtar Hai Aisay Jeene Se,”
Post a Comment