Saturday, 14 November 2015
Laboun Par Aah To Aankhoun Mein Pani Chorr Jaown Gi. Main Mit Jaown Gi Par Apni Kahaani Chorr Jaown Gi.
Poetess: Nazia Kanwal Nazi
Typed by
Uroora Emaan
Laboun Par Aah To Aankhoun Mein Pani Chorr Jaown Gi.
Main Mit Jaown Gi Par Apni Kahaani Chorr Jaown Gi.
Abhi Hans Hans K Jheelon Gi Badlte Muasmoun Ka Dukh.
Kitaab-E-Umar Mein Phir Kuch Nadani Chorr Jaown Gi.
Mujhe Thehri Hui Udas Rut Se ISHQ Hai.
Main Dariyaaown K Pani Mein Rawani Chorr Jaown Gi.
Decmber Ki Thethrti Sard Raatoun Ki Qasam Mujh Ko.
Tumhaare Naam Pe Ik Rut Suhaani Chorr Jaown Gi.
Mere Masoum Beche Apne Kal Mein Dukh Hi Paaeen Ge.
Main Un Mein Apna Bechpan Aur Jawaani Chorr Jaown Gi.
Kisi Ko Kia Mila Mujh Se Umar Ye Raaegaan Guzari.
So Ab Socha Hai K Dunya-E-Fani Chorr Jaown Gi.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 Responses to “ Laboun Par Aah To Aankhoun Mein Pani Chorr Jaown Gi. Main Mit Jaown Gi Par Apni Kahaani Chorr Jaown Gi.”
Post a Comment